rah-e-haq mein tujhe hasti ko mitana hoga dekhna phir teri thokar mein zamana hoga rone wale tujhe hanste hue phulon ki tarah sari duniya ko hunar apna dikhana hoga be-wafa ho ke bhi tu itni muqaddas kyun hai zindagi aaj tujhe raaz batana hoga waqt-e-rukhsat yahi kahti thin barasti aankhen pas mere tujhe phir laut ke aana hoga ek chingari tassub ki nazar aai hai dekhna ye hai kahan is ka nishana hoga apne mazi ke har ek gham ko bhula de warna chot phir ubhregi phir dard purana hoga khamushi teri meri jaan liye leti hai apni taswir se bahar tujhe aana hoga zindagi mein tujhe chalna hai sambhal kar 'sahil' raste mein tere kam-zarf zamana hoga