kya bataun mujhe kya yaad hai kya yaad nahin itne gham hain ki gham-hosh zara yaad nahin is gunahgar-e-mohabbat pe khuda rahm kare jis ko kuchh teri mohabbat ke siwa yaad nahin meri diwana mizaji pe hai ilzam magar apni begana-nigahi ki ada yaad nahin tum ne kuchh mujh se kaha tha dam-e-rukhsat ek din ab khuda jaane tumhein yaad hai ya yaad nahin ya wo aalam tha ki thi samne manzil 'rahi' ya ye haalat hai khud apna pata yaad nahin