khushki pe rahungi kabhi pani mein rahungi ta umr isi naql-e-makani mein rahungi main jism nahin husn hun ai chashm-e-abad-tab mar kar bhi mohabbat ki kahani mein rahungi tabinda rahenge meri aankhon ke kinare ashkon mein dhali hun ki rawani mein rahungi ajdad ki qurbat se uthaya gaya mujh ko goya main buzurgon ki nishani mein rahungi sheron hi pe mauquf nahin meri haqiqat alfaz se bhagungi maani mein rahungi ai shaer-e-dil-soz mere dukh ko bayan kar ta hashr teri shoala-bayani mein rahungi ab gudiya patolon se ilaqa nahin 'mahin' bachpan se nikal aai jawani mein rahungi