kya batlaun kaise din main kat raha hun moti hun aur raste mein bekar pada hun lambi lambi caron walon se achchha hun rukhi-sukhi jo milti hai kha leta hun tanhai mein akasr main socha karta hun suraj chand sitare kya hain aur main kya hun baadal parbat dariya chashme jangal sahra kyun bhate hain main in sab ka kya lagta hun aag aur pani mein kahte hain bair bada hai lekin main to us se mil kar khush hota hun itni nafrat yaro mujh se kyun karte ho main bhi gulshan ka ek gul hun tum jaisa hun mere chahne walon ka bhi ek halqa hai main bhi gulzaron ki wadi ka jharna hun mere chaal-chalan se bhi kuchh hasil kar lo main bhi ek autar ka sa darja rakhta hun ek hi manzar ne aankhon ko dhanp rakha hai roz-e-awwal se ye suraj dekh raha hun khud se jab baaten karne ko ji chaha hai ghar se uth kar nadi kinare ja baitha hun mere haal se duniya ka andaza kar lo main phaldar shajar ka ek pila patta hun dhyan ko tanhai ke ghar ka ped samjhiye main bhi us ke sae mein barson baitha hun jaane kis pal ki khushbu hai mere aage jaane kis duniya ke pichhe daud raha hun kaise kaise log guzarte hain nazron se sara din main kaise kaise dukh sahta hun mere khadd-o-khal ko dekho aur pahchano main bhi apni irfani ka katba hun bas ke pahiye khak uda jate hain mujh par wo kya jaanen kaun hun aur kis ka chehra hun ata-pata kya puchh rahe ho mera logo rampuri shair hun aur ghazlen kahta hun