dur tak ek syahi ka bhanwar aaega

dur tak ek syahi ka bhanwar aaega
khud mein utroge to aisa bhi safar aaega

aankh jo dekhegi dil us ko nahin manega
dil jo dekhega wo aaankhon mein ubhar aaega

apne ehsas ka manzar hi badal jaega
aankh jhapkegi to kuchh aur nazar aaega

aur chalna hai to be-khauf-o-khatar niklo bhi
na kisi abr ka saya na shajar aaega

khatm ho jaegi jab jashn-e-mulaqat ki raat
yaad bujhte hue khwabon ka nagar aaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close