kya bhala mujh ko parakhne ka natija nikla zakhm-e-dil aap ki nazron se bhi gahra nikla tishnagi jam gai patthar ki tarah honton par dub kar bhi tere dariya se main pyasa nikla jab kabhi tujh ko pukara meri tanhai ne bu udi phul se taswir se saya nikla koi milta hai to ab apna pata puchhta hun main teri khoj mein tujh se bhi pare ja nikla mujh se chhupta hi raha tu mujhe aankhen de kar main hi parda tha utha main to tamasha nikla tod kar dekh liya aaina-e-dil tu ne teri surat ke siwa aur bata kya nikla nazar aaya tha sar-e-baam 'muzaffar' koi pahuncha diwar ke nazdik to saya nikla