qafila utra sahra mein aur pesh wahi manzar aae rakh udi khema-gahon ki khun mein luthde sar aae galiyon mein ghamsan ka ran hai marka dast-ba-dast hai yan jise bhi khud par naz bahut ho aangan se bahar aae ek aaseb sa lahraata hai basti ki shah-rahon par sham dhale jo ghar se nikle laut ke phir nahin ghar aae dinon mahinon aankhen roin nai ruton ki khwahish mein rut badli to sukhe patte dahlizon mein dar aae ek diya raushan rakhna diwar pe chand sitaron sa abr uthe barish barse ya hawaon ka lashkar aae warna kis ne par kiya tha rasta bhari dopahron ka kuchh hum se diwane the jo tai ye masafat kar aae