kya bichhad kar rah gaya jaane bhari barsat mein ek koyal kukti hai aam ke baghat mein soch mein gum fakhta baithi hui hai shakh par baz hai upar to niche ek shikari ghat mein waqt ke panchhi ko udna tha bil-akhir ud gaya aadi-tirchhi kuchh lakiren hain faqat ab hath mein koi jita hai jiye gar koi marta hai mare aaj ke insan ko dilchaspi hai apni zat mein ek talluq ek mohabbat hai mujhe is shahr se mere bachpan ka bada hissa kata gujraat mein jal rahi thi raat meri tap raha tha mera din kya jiye manzar koi aise kathin haalat mein