kya bolun kaisi arzani meri thi wo suraj tha aur peshani meri thi ek taswir nihan thi waqt ke parde mein ghaur se jo main ne pahchani meri thi jitne bhi maujud the manzar us ke the aur aankhon ki sab hairani meri thi ab dekhun to na-mumkin sa lagta hai ye duniya ek din diwani meri thi farq hi kya tha sar jata ya rah jata jab sach ki fasl-e-imkani meri thi main hi hawa mein ungliyon se likhta tha ab jitni bhi thi hairani meri thi kaise katti ye zanjir-e-talluq-e-taur jab duniya bhar ki virani meri thi