dil se har-dam hamein aawaz-e-buka aati hai band kanon ko bhi girya ki sada aati hai dil se hai aankh tak aai asar-e-garmi-e-shauq ashk hasrat se nigah aabla-pa aati hai gul hua koi charagh-e-sahari o bulbul hath malti hui patton se sada aati hai aaina saf sikandar ko dikhaya tu ne khub ai khizr tujhe rah bata aati hai chhu liya dhoke se daman-e-saba tu ne to kiya ghuncha-e-gul kahin mutthi mein hawa aati hai jis qadar wasl-e-butan ka tumhein rahta hai firaq ai 'nasim' utni kabhi yaad-e-khuda aati hai