kya bulbul asir hai be-baal-o-par ki hum gul kab rakhe hai tukde jigar is qadar ki hum khurshid subh nikle hai is nur se ki to shabnam girah mein rakhti hai ye chashm-e-tar ki hum jite hain to dikha denge dawa-e-andalib gul bin khizan mein ab ke wo rahti hai mar ki hum ye tegh hai ye tasht hai ye hum hain kushtani khele hai kaun aisi tarah jaan par ki hum talwaren tum lagate ho hum hainge dam-ba-khud duniya mein ye kare hai koi darguzar ki hum is justuju mein aur kharabi to kya kahen itni nahin hui hai saba dar-ba-dar ki hum jab ja phansa kahin to hamein yan hui khabar rakhta hai kaun dil teri itni khabar ki hum jite hain aur rote hain lakht-e-jigar hai 'mir' karte suna hai yun koi qima jigar ki hum