raat ke rahne ka na dar kijiye ek to shab yan bhi sahar kijiye log kahenge tumhein harjai hai dil mein ek aalam ke na ghar kijiye dekhte ho meri taraf kya miyan apni bhi surat pe nazar kijiye aa hi liya be-khabari ne hamein kaun hai yan kis ko khabar kijiye ghair ko ja dete ho ghar mein agar mere tain shahr-badar kijiye dekh nigahen teri kahti hai khalq aisi nigahon se hazar kijiye phir nahin milna tera mushkil miyan jaan ka gar apni zarar kijiye manzil-e-hasti mein bahut hum rahe 'mushafi' ab yan se safar kijiye