kya buri tarah bhaun matakti hai ki mere dil mein aa khatakti hai zulf ki shan mukh upar dekho ki goya arsh mein latakti hai ab talak garche mar gaya farhad ruh patthar sin sar latakti hai dil kababon mein kaun kachcha hai ishq ki aag kyun chatakti hai 'abru' ja pahunch ki pyasi zulf nagani ki tarah bhatakti hai