kya shokh achpale hain tere nayan mamola jin kun narakh jale hain sab manharan mamola bar mein khayal ke bhi kyunkar ke aa sake dil nazuk hai jaan seti tera badan mamola jo ek nigah karo tum karte ho kaam so tum sikhe kahan sin ho tum ye makr-o-fan mamola aazad sab jagat ke aa kar ghulam howen jab budli banawe apna baran mamola qad sarw chashm nargis rukh gul dahan ghuncha karta hun dekh tum kun sair-e-chaman mamola har raat shama ke jun jalti hai jaan meri jab sin lagi hai tum sin dil ki lagan mamola