kya chaha tha kya socha tha kya guzri kya baat hui dil bhi tuta ghar bhi chhuta ruswai bhi sath hui wo kya jaane us se bichhad ke hum par kya kya guzri hai sahra jaisa din ka aalam parbat jaisi raat hui us ke khat ko kaise padhun main sare lafz to bhige hain meri chhat par baadal chhae us ke ghar barsat hui yun khoe hum yaad mein us ki goya khud ko bhul gae kisi khabar hai kab din nikla kise pata kab raat hui dil ke pyase aangan mein kal yaad ke baadal yun aae der talak ye tan-man bhiga be-mausam barsat hui