har phul hai hawaon ke rukh par khila hua aur mein hun apne khwab ke andar khila hua ye main jo raat din nahin apne hawas mein wo bagh hai zarur kahin par khila hua kuchh mere sar ko bhi thi mahak si chadhi hui kuchh wo bhi samne tha barabar khila hua khwabon mein khushbuen si khayalon mein rang se ye bagh ho agar kahin bahar khila hua kin manzaron mein mujh ko mahakna tha 'aftab' kis regzar par hun main aa kar khila hua