kya chamke ab faqat meri nale ki shaeri is ahd mein hai tegh ki bhaale ki shaeri saman sab tarah ka ho ladne ka jin ke pas hai aaj kal unhin ki masale ki shaeri shaer risala-dar na dekhe na main sune ijad hai unhen ka risale ki shaeri mard-e-galim-posh ko yan puchhta hai kaun gar garm hai to shaal doshaale ki shaeri ye sher garm garm padhe jate yun nahin munh bolti hai garm niwale ki shaeri nakhra bhi sher mein ho to han 'soz' ka sa ho kis kaam ki wagarna chhinale ki shaeri diwan jin ke kafsh se afzun nahin zara karte hain kya wo log kasale ki shaeri chune ke kaghazon pe jhaden hain jo apne sher yani ki aa rahi hai diwale ki shaeri kaisa hi badh chale wo kalam-e-sharif par sarsabz ho kabhi na rizale ki shaeri bazon ne tab to sher pe 'hasrat' ke yun kaha kya dal-muth bechne wale ki shaeri hun 'mushafi' main tajir-e-mulk-e-sukhan ki hai 'khusro' ki tarah yan bhi atale ki shaeri