na surkhi ghuncha-e-gul mein tere dahan ki si na yasman mein safai tere badan ki si main kyun na phulun ki us gul-badan ke aane se bahaar aaj mere ghar mein hai chaman ki si ye barq-e-abr mein dekhe se yaad aati hai jhalak kisi ke dupatte mein nau-ratan ki si gulon ke rang ko kya dekhte ho ai khuban ye rangaten hain tumhaare hi pairahan ki si jo dil tha wasl mein aabaad tere hijr mein aah bani hai shakl ab us ki ujad ban ki si tu apne tan ko na de nastaran se ab tashbih bhala tu dekh ye narmi hai tere tan ki si tera jo panw ka talwa hai bazm-e-makhmal sa safai is mein hai kahiye to nastaran ki si 'nazir' ek ghazal is zamin mein aur bhi likh ki ab to kam hai rawani tere sukhan ki si