kya chhupate kisi se haal apna ji hi jab ho gaya nidhaal apna hum hain us ke khayal ki taswir jis ki taswir hai khayal apna wo bhi ab gham ko gham samajhte hain dur pahuncha magar malal apna tu ne rakh li gunahgar ki sharm kaam aaya na infial apna dekh dil ki zamin larazti hai yaad-e-jaanan qadam sambhaal apna ba-khabar hain wo sab ki haalat se lao hum puchh len na haal apna maut bhi to na mil saki 'fani' kis se pura hua sawal apna