monis-e-dil koi naghma koi tahrir nahin harf mein ras nahin aawaz mein tasir nahin aa hi jata hai ujadti hui duniya ka khayal bawar aaya ki tera dard hama-gir nahin hijr ek waqfa-e-bedar hai do nindon mein wasl ek khwab hai jis ki koi tabir nahin mere atraf ye zanjir-r-alaeq kaisi zindagi jurm sahi qabil-e-tazir nahin kis tarah paen is afsurda-mizaji se najat hamdamo ham-sukhano kya koi tadbir nahin