kya daur hai ki jo bhi sukhnawar mila mujhe gum-gashta apni zat ke andar mila mujhe kis pyar se gaya tha teri aastin ke pas shakh-e-hina ki chah mein khanjar mila mujhe is zulmat-e-hayat mein ek lafz pyar ka jab mil gaya to mah-e-munawwar mila mujhe surat-garan-e-asr ka tha intizar-kash teri rah-e-talab mein jo patthar mila mujhe roz-e-azal se kar-gah-e-hast mein 'suhail' dil hi gham-e-hayat ka mehwar mila mujhe