kya dekhen hum suraj chand sitaron mein un ka chehra raushan hai andhiyaron mein roz tumhaari khabren padhte rahte hain tum to bas ab milte ho akhbaron mein darwaze par nam tumhaara likkha hai naqsh tumhaare sabt hue diwaron mein bachche khauf se ghar se bahar na niklen dhul udti hai galiyon mein chaubaron mein apne jaisi fani chiz banata hai ek ye kami hai insan ke shahkaron mein peshani par dagh numayan rahta hai sajde karte phirte hain darbaron mein ilm hunar aur fan to ab matruk hue khote sikke chalte hain bazaron mein ahd-e-nau ki 'nuzhat' hum buniyaad rakhen fikr nai ab shamil ho fan-paron mein