lafz chunte hue tartib nai lagti hai

lafz chunte hue tartib nai lagti hai
dil dukhane ki ye tarkib nai lagti hai

meri tahsin se kiya aap ne danista gurez
kyun qaside mein ye tashbib nai lagti hai

ab haqiqat ki tarah is ko bhi taslim karen
zindagi ki koi tadib nai lagti hai

kuchh nae khwab nai khwahishen daman mein liye
har nae sal ki targhib nai lagti hai

un ki baaton pe siyasat ka asar hai goya
un ki har baat mein takzib nai lagti hai

waqt ke sath badal dale hain aadab-e-wafa
aap ke ishq ki tahzib nai lagti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close