kya dekhte hain aap jhijak kar sharab mein paida hai aks-e-zulf-e-mo'ambar sharab mein partaw-fagan hai chashm-e-fusun-gar sharab mein kya mil gaya hai fitna-e-mahshar sharab mein bad-mastiyon ke shauq ne tufan uthae hain baithe hain hum bahae hue ghar sharab mein tar-damanon ko aatish-e-dozakh se hai najat jama hai shor-bor sarasar sharab mein be-yar mauj-e-mai hai rag-e-jaan mein neshtar ye jaan-sataniyan hain muqarrar sharab mein kuchh qatl mein bhi chashni-e-mai zarur hai qatil bujha ke laiyo khanjar sharab mein shirin-kalamiyan hain wahan waqt-e-mai-kashi goya mila hai qand-e-mukarrar sharab mein kahta hai rang-e-rukh se tere jauhar-e-sharab khilte hain husn-e-shokh ke jauhar sharab mein mahrum bazm-e-mai se na phir jae mohtasib de do koi kabab dubo kar sharab mein 'raunaq' ne un ke hath se bazm-e-raqib mein ek khun-e-dil piya hai mila kar sharab mein