sham aai to ba-har-samt numudar hua tujh se achchha to tera saya-e-diwar hua ek teri yaad ki manind-e-sahar raushan hai ek tera nam ki mujh ko abad-asar hua jab main soya to rakha us ne mere hath pe hath bakht-e-kam-bakht bhi kis waqt pe bedar hua ek sail hai tere dar ka sabhi jaante hain han wahi shakhs ki jo ganw ka sardar hua tu ne is ishq mein pai hai bahut si daulat mujh sa nadar to le-de ke qalamkar hua din ko chamgadaden jo dekh nahin pati hain ai khuda in ko to suraj tera be-kar hua sakht jade ki aziyyat se nikal aaya hun aap ke jism ki hiddat se mujhe pyar hua aap ke husn-e-fusun-saz ke kya kahne hain aaina dekh ke hairat mein giraftar hua us ne us par bulaya hai kai bar 'wali' aur dariya ki nahin mujh se kabhi par hua