kya dikha sakta hai koi moajize assi karoD

kya dikha sakta hai koi moajize assi karod
kya kabhi hal ho sakenge masale assi karod

sochiye kyunkar katega waqt ka lamba safar
rahnuma koi nahin aur qafile assi karod

koi bhi aansu tumhaare ponchhne wala nahin
kahne ko man hain tumhaare ladle assi karod

us ke honton par jagana hai masarrat ki lakir
jis ke sine mein nihan hain aable assi karod

ek ke baad ek raste mein guzarne ke liye
muntazir baithe hue hain hadse assi karod

mukhtalif andaz ke hain mukhtalif lahjon mein hain
ek kitab-e-zindagi ke tarjume assi karod

dekhiye kab khatm ho ghut ghut ke jine ki saza
ek rassi bhuk ki hai aur gale assi karod

khud hi 'kazim' rakh diye hum ne jila ke waste
chand fan-karon ke aage aaine assi karod


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close