kya din the jab chhup chhup kar tum pas hamare aate the kanpte the badnami ke dar se aansu pi pi jate the hae jawani kya mausam tha ab wo din yaad aate hain ruthte the hum har-dam un pe aur wo aa ke manate the hae ghazab hai mujh wahshi ko us mausam mein qaid kiya sun jab shor-e-fasl-e-bahaaran murgh-e-qafas ghabraate the zikr kiya main aap ka kis se kis ke aage nam liya dushman the wo log mere jo aap ke tain bahkate the hae wo pahle chah ka aalam kis se main izhaar karun main to hijab se aap khajil tha wo mujh se sharmate the us se 'hawas' milna mushkil tha par wo hum se dur na the un ki hi taswir se har-dam apna ji bahlate the