dard-e-dil ka kise karun izhaar gham-e-hijrat ba-jaan-e-man bisyar nargisi chashm ko kahan paun jise taskin ho khatir-e-afgar rakhkhun apna kafan silane ko paun gar mu-e-zulf ka yak-tar baqi arman raha ba-dil afsos jaan jati hai yar yar pukar sanama zaliman sata le aa muntazir koi dam raha be-shumar dekhna dekh le dikha surat warna phir main kahan kahan tu yar 'afridi' gira ba-chah-e-zanakh mah-e-kanan ki tarah lachaar