kya dukh hai mera yaro kya gham hai kya bataun ye aankh kis wajah se ab nam hai kya bataun bad-haal kar chuki hai meri udasi mujh ko ye jism kis qadar ab be-dam hai kya bataun main qahqahe lagata to hun magar ai yaro in qahqahon mein kya kuchh mubham hai kya bataun dilkash hai yun to abr-e-baran si aankh meri dil mein magar khizan ka mausam hai kya bataun kyon khwahishen na pale insan apne dil mein is ko bhi justuju-e-dam-kham hai kya bataun mera bhi waqt 'naqir' aaega ek din par taqdir ka sitara maddham hai kya bataun