yun nazar-andaz kar ke zulm dhaya hai bahut be-rukhi ne teri mujh ko aazmaya hai bahut tum bhi samjhauta karo apni mohabbat ke liye main ne bhi is ke liye khud ko jhukaya hai bahut do dinon ki thi mohabbat chaar din ki zindagi chaar ke chaaron hi din us ne rulaya hai bahut baith kar tum ne parai mahfilon mein jaan-e-jaan barha yun khun ko mere jalaya hai bahut main ne to socha tha tujh ko bhul jaunga magar tu to pahle se bhi lekin yaad aaya hai bahut ek nazar didar ho jae tera bas is liye barha aa tere dar ko khatkhataya hai bahut ab ki 'naqir' rutha hai wo chhod jaane ke liye jaan kar bhi sab use main ne manaya hai bahut