kya fash karun gham-e-nihan ko payan nahin meri dastan ko qisse ko na puchho mere hargiz yara hi nahin dil-o-zaban ko darpai hain nasihaton ke yarab samjhaun main kyun ke dostan ko go hum ne silaya jeb-o-daman kya kijiyega chashm-e-khun-fishan ko ho gar na wo shama-ru hi to phir kya aag lagaun dud-man ko guzra tha udhar se kal jo shayad aaya tha wo mere imtihan ko aae to abhi the mere sahab aisi jaldi chale kahan ko ai yaro samajh ke bolo us bin main jaunga bagh-o-bostan ko 'asif' abhi main ne kya kaha tha tuk band nahin teri zaban ko