kya gham-e-hijr utha kar koi mar jaega jis tarah raat kati din bhi guzar jaega un ke didar ki hasrat hai dam-e-akhir bhi dam nikal kar meri aankhon mein thahar jaega tum hamare dil-e-muztar ko sambhaalo na abhi khub ji bhar ke tadap le to thahar jaega surat-e-naqsh-e-qadam baith chuka kuche mein dar-e-jaanan se kahan uth ke 'jigar' jaega