manzur-e-nazar hai dil-e-gham-KHwar tumhaara By Ghazal << shab-e-visal hansi aati h... kya gham-e-hijr uTha kar ... >> manzur-e-nazar hai dil-e-gham-khwar tumhaara jo yar hamara hai wahi yar tumhaara dam hasrat-e-didar ne aankhon se nikala ab tum ko mubarak rahe didar tumhaara turbat mein 'jigar' zer-e-kafan hath hai dil par achchha na hua mar ke bhi aazar tumhaara Share on: