kya ghazab hai ki mera mujh se wo dilbar toda mujh pe kya tu ne sitam charkh-e-sitamgar toda sakht-jaanon ko jalane ke siwa kya tadbir muft kyun qatil-e-saffak ne khanjar toda aa gaya wan jo kisi ke lab-e-shirin ka khayal jam-e-kausar ko utha kar lab-e-kausar toda uth gaya chal ke tere dar se main go kaba ko par ye zunnar wahan bhi but-e-kafar toda kya dar-e-yar-e-talab pahunche hain insan 'arif' us ke darban ko udhar de ke bahut zar toda