mar jaenge lekin kabhi ulfat na karenge hum jine ko apne ye musibat na karenge hai dil mein ki mil jaiye ab bul-hawason mein phir hum se kahan tak wo murawwat na karenge kahte hain meri jaan ka jaana nahin mumkin jab tak wo mujhe aap se rukhsat na karenge ai khizr jo pina ho hamein aab-e-baqa bhi is phirne se mai-khane ki khidmat na karenge tu ab to gareban ko mere chhod de 'arif' bas aaj se hum tujh ko nasihat na karenge