kya gulshan-e-hasti phule phale ek phul bhi jab shadab nahin

kya gulshan-e-hasti phule phale ek phul bhi jab shadab nahin
marne ke hain saman bahutere jine ke magar asbab nahin

mushtaq-e-nazara ho kar bhi gustakh na thi bebak na thi
ye pas-e-adab se uth na saki wo samjhe nazar ko tab nahin

allah re tishnagi-e-hasrat sab pi gaya mera khushk gala
qatil ko tha jis par naz bahut talwar mein ab wo aab nahin

kya qahr ki hai ye majburi qanun bhi badle fitrat ke
main barq hun lekin sakin hun main dil hun magar betab nahin

shah pa ke nigah-e-saqi ki khud hath su-e-saghar lapka
mai-khwar takalluf kyon barte maikhane ke ye aadab nahin

ye baat wahi kuchh jaante hain dube hain jo gham ke dariya mein
sahil pe jo hain wo kya jaanen girdab hai ya girdab nahin

chakkar mein na phans dhoke mein na aa bachna hai salamat na-mumkin
ye ishq-o-mohabbat ka dariya be-payan hai payab nahin

har haal mein aansu moti hai tafriq magar ye hoti hai
jab tak na gire be-ab nahin gir jae to phir nayab nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close