kya hai ki aaj chalte ho katra ke rah se

kya hai ki aaj chalte ho katra ke rah se
dekho idhar nigah mila kar nigah se

sharm-e-jafa se chhupte ho tum dad-khwah se
uzr-e-gunah tumhaara hai bad-tar gunah se

un ki haya o sharm ne rakkhi hai dil ki sharm
kya hoga jab nigah milegi nigah se

insaf bhi yahi hai yahi shan-e-husn bhi
han han nazar churao qatil-e-nigah se

baitus-sanam se dur nahin hai haram ki rah
kyun rah puchhen zahid-e-gum-karda-rah se

kyun shikwa hum karen adam-e-iltifat ka
wo puchhte to hain nigah-e-gah-gah se

zahid hazar haif ki pahuncha na koi faiz
rindon ke mai-kade ko teri khanqah se

parwanon ka hujum hai shama-e-jamal par
jita phirega kaun teri jalwa-gah se

shikwa karun tumhaari jafa ka to ru-siyah
dekho na tum mujhe nigah-e-uzr-khwah se

khushhaali-e-raqib se wo shad shad hain
yani hain be-khabar mere haal-e-tabah se

gardan jhuki hui hai uthate nahin hain sar
dar hai unhen nigah ladegi nigah se

nikla na koi haif yahan qabil-e-shikar
sayyaad khali hath phira said-gah se

har chand 'wahshat' apni ghazal thi giri hui
mahfil sukhan ki gunj uthi wah wah se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close