kisi tarah din to kat rahe hain fareb-e-ummid kha raha hun hazar-ha naqsh aarzu ke bana raha hun mita raha hun wafa meri mo'tabar hai kitni jafa wo kar sakte hain kahan tak jo wo mujhe aazma rahe hain to main unhen aazma raha hun kisi ki mahfil ka naghma-e-nai moharrik-e-nala o fughan hai fasana-e-aish sun raha hun fasana-e-gham suna raha hun zamana bhi mujh se na-muwafiq main aap bhi dushman-e-salamat tajjub is ka hai bojh kyunkar main zindagi ka utha raha hun na ho mujhe justuju-e-manzil magar hai manzil meri talab mein koi to mujh ko bula raha hai kisi taraf ko to ja raha hun yahi to hai nafa koshishon ka ki kaam sare bigad rahe hain yahi to hai faeda hawas ka ki ashk-e-hasrat baha raha hun khuda hi jaane ye sada-lauhi dikhaegi kya natija 'wahshat' wo jitni ulfat ghata rahe hain usi qadar main badha raha hun