kya hain shaida-e-qadd-e-yar darakht hain jo shabnam se ashk-bar darakht dekhen gar sarw-qad-e-yar darakht khak par loten saya-dar darakht ashk-bar un pe hain jo murgh-e-chaman pahne hain motiyon ka haar darakht sar-kashi ki hai kya tere qad se kate jate hain be-shumar darakht kya tere qad se dun misal use ki hai angusht zinhaar darakht tere jalwe se nakhl-e-tur bane hain jo baala-e-kohsar darakht bed-e-majnun ko dekh o laila hai ye majnun ka yaadgar darakht dekh kar tujh ko bhul jaenge gul khilaenge be-bahaar darakht zindagi mein na main ne phal paya ho na mere sar-e-mazar darakht faeda bhi yahan to nuqsan hai sang khate hain bar-dar darakht dagh-e-tan khil rahe hain surat-e-gul hum hain goya shagufa-dar darakht