nazar ki fath kabhi qalb ki shikast lage

nazar ki fath kabhi qalb ki shikast lage
meri hayat parae ka band-o-bast lage

na wo nuqush na husn-e-kashish ki baat rahi
sanam-farosh bhi jaise khuda-parast lage

abhi mila tha abhi phir bichhad gaya koi
ye hadsa bhi hikayat-e-bud-o-hast lage

farishte dekh rahe hain zamin o charkh ka rabt
ye fasla bhi to insan ki ek jast lage

wahan safine ko pahuncha diya hai tufan ne
har ek mauj-e-bala ab jahan se past lage

tere hi gham ne kisi samt dekhne na diya
ki ab hujum-e-tamanna bhi tang-dast lage

jo teri bazm se 'bekal' chala to hosh mein tha
ajib baat hai ab wo bhi mast mast lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close