kya ho ki meri zindagi se tu nikal sake jis se ki mere dard ka pahlu nikal sake darkar is liye hai mujhe dusra badan us ki dil-o-dimagh se khushbu nikal sake sab apni apni lashon ko mandir mein le chalo shayad khuda ki aankh se aansu nikal sake gahri huin jaden to ye shakhen hari huin paon jame to ped ke bazu nikal sake main us ke ba'd sirf inhin koshishon mein hun gardan se us ke nam ka tattoo nikal sake apni hatheliyon mein ye aankhen nichod lun mumkin hai tere hijr se chullu nikal sake main chahta hun raat mein suraj-mukhi khile main chahta hun din mein bhi jugnu nikal sake