tamam umr bachata raha KHuda usko

tamam umr bachata raha khuda us ko
kisi ki lag hi gai phir bhi baddua us ko

wo apni zindagi aur doston mein hai masruf
meri tamam pareshaniyon se kya us ko

tum us se kahna kisi din tabah kar dega
kam umr ladkiyon ke dil se khelna us ko

bichhadte waqt use dekh kar laga jaise
har ek chiz ka pahle se ilm tha us ko

hunar-shanas kisi din qarar kar denge
banane wale tere fan ki intiha us ko

na jaane kaun sa pesha hai jis mein lagta hai
har ek sham koi aadmi naya us ko

use sataen mohabbat ke lautte mausam
kabhi bhi ras na aae america us ko

khuda main bhi teri is duniya ko mita dunga
hamare jhagde mein kuchh bhi agar hua us ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close