kya ho taskin jo ho teri sukunat dil mein rahe aaghosh mein ya pyar ki surat dil mein maut chahun to karun soz-e-mohabbat ka ilaj kya rahega na rahegi jo hararat dil mein dil-nashin hai jo mujhe talib-e-izzat hona chhup ke baitha hai koi sahab-e-izzat dil mein dil ko sab log ye kahte hain khuda ka ghar hai main samajhta hun ki hai teri amanat dil mein sun raha hun wo ayaadat ke liye aate hain aaj hai pursish-e-amal ki haibat dil mein tauba tauba main samajhta tha ki dil hai betab khud wo betab hai jis ki hai sukunat dil mein dil mein rahne ka tujhe haq to hai lekin ai shokh kash hoti tere chehre ki matanat dil mein jaante hain meri be-rah-rawi ke asbab mante hain mujhe yaran-e-tariqat dil mein than gai thi tere akhlaq ki beja tarif ab na aata to ye aai thi shararat dil mein hai abhi tak to faqat sikwa-e-dushman ai dost kahin paida na ho kuchh aur shikayat dil mein chahta hun jise ban jae agar wo saqi badhti jae hawas-e-kausar-o-jannat dil mein zauq-e-didar bhi kya chiz hai allah allah meri aankhon mein basarat hai basirat dil mein kash min-jumla-e-azar-e-mohabbat nikle kar-farma nazar aati hai jo quwwat dil mein hain abhi tak tumhein duniya ke maze yaad safi' aashiqi karte ho rakh kar ye malamat dil mein