udas dekh ke wajh-e-malal puchhega wo mehrban nahin aisa ki haal puchhega jawab de na sakoge palat ke mazi ko ek ek lamha wo chubhte sawal puchhega dilon ke zakhm dahan mein zaban nahin rakhte to kis se zaiqa-e-indimal puchhega kabhi to la ke mila mujh se mere qatil ko jo sar hai dosh pe tere wabaal puchhega ye kya khabar thi ki sine ke dagh lau denge koi jo mehnat-e-fan ka maal puchhega tu harf-e-ishq-o-basirat hai lab na si apne zamana tujh se bhi tera khayal puchhega mujhe tarash ke rakh lo ki aane wala waqt khazaf dikha ke guhar ki misal puchhega bana ke phul ki khushbu phiraegi sadiyon hawa se kaun rah-e-e'tidal puchhega ye ek pal jo hai majhul shakhs ki surat mizaj-e-agahi-e-mah-o-sal puchhega yahan tayyun-e-aqdar bhi zaruri hai khud apne mushk ki qimat ghazal puchhega mera qalam abdiyat ki raushni hai 'faza' is aaftab ko ab kya zawal puchhega