kya hua jo hayat fani hai gham ka lamha to jawedani hai zindagani bahaal rakhne ko sae pine hain dhup khani hai koi chume ki meri aankhon mein jo sahifa hai aasmani hai log roe lipat ke sayon se qaht-e-insan ki ye nishani hai hamla-awar badalte rahte hain basti lekin wahi purani hai dil bhi apna nahin yahan 'anjum' ye parinda bhi la-makani hai