kya hua kyon ye suhani bastiyan bimar hain kyon ye dil ke shahr ye aabaadiyan bimar hain ek muddat se chaman mein jaane par-basta hain kyon gul hi kuchh be-kaif hain ya titliyan bimar hain ya kasafat hai hawa-e-taza ki tasir mein ya hamare ghar ke dar aur khidkiyan bimar hain thahr ai shor-e-bahaaran tham zara hangam-e-shauq ek muddat se tere shaida yahan bimar hain kya padhe aayat-e-kaamil be-basar hai chashm-e-dil kya likhengi ism-e-azam ungliyan bimar hain