kamal-e-husn ka iqrar kar jaana hi padta hai adaen itni kafir hon to mar jaana hi padta hai koi manzil ho majbur-e-safar hain hausle wale guzar mushkil sahi lekin guzar jaana hi padta hai talab mein tez-gami har jagah mauzun nahin hoti jahan bhi waqt thahraate thahar jaana hi padta hai kahan tak naz-bardari teri ai gardish-e-dauran chadhe dariya ko bhi ek din utar jaana hi padta hai gulistan ho ki sahra ku-e-qatil ho ki mai-khana jidhar taqdir le jae udhar jaana hi padta hai tere jawon ki tabani sambhalne hi nahin deti nazar ko hosh ki surat bikhar jaana hi padta hai rawan hai karwan-e-zindagi lamhon ki surat mein bikharte tutte sham-o-sahar jaana hi padta hai wo jate hain to sath un ke nazar tanha nahin jati hamein bhi dur hamrah-e-nazar jaana hi padta hai kabhi haalat is manzil pe bhi late hain insan ko ki sab kuchh jaan kar sab se guzar jaana hi padta hai zamin-e-dil ki shadabi hai amwaj-e-hawadis se bahaar aae to gulshan ko sanwar jaana hi padta hai yahi to 'shauq'-e-majburi hai apni bazm-e-saqi mein hazar inkar karte hain magar jaana hi padta hai