kya hua us ne jo aashiq se jafakari ki ruh ne jabki na qalib se wafadari ki lambi dadhi bhi kisi hath se ruswa hogi hazrat-e-shaikh saza paenge makkari ki tu wo zalim hai gaya naz se itra ke jo wan dawar-e-hashr ne bhi teri taraf-dari ki dagh raushan mere sine pe jo dekhe us ne mohr-e-pur-nur pe bhapti kahi chingari ki gham-e-majnun mein siyah-posh bani hai laila ai junun ye shab-e-hijran ki nahin tariki sun liya nam wafa ka hai kisi aashiq se jaan ab kahe ko chhodenge wafadari ki ek tauba ke siwa kuchh na kiya hum ne 'wasim' afw ke hath hai ab sharm gunahgari ki