baz auqat faraghat mein ek aisa lamha aata hai jis mein hum aison ko achchha-khasa rona aata hai sab us shakhs se mil kar bilkul taza-dam ho jate hain phir us din taswir mein sab ka chehra achchha aata hai bagh se phul churane wali ladki ko ye kya malum us ke qadmon ki har chap pe phul ko khilna aata hai hum ye baat bade-budhon se aksar sunte aae hain daen hath mein khujli ho to jeb mein paisa aata hai jab bhi us ko rishte ki taswir dikhai jati hai us ke zehn mein fauran mere jaisa ladka aata hai ham-sae ki unchi diwaron se itna farq pada pahle ghar mein dhup aa jati thi ab saya aata hai is aawaz ko sunne wale kan mubarak kahlate hain un aankhon ko dekhne walo khwab mein dariya aata hai