kya hue baad-e-bayaban ke pukare hue log chaak-dar-chaak gareban ko sanware hue log khun hua dil ki pasheman-e-sadaqat hai wafa khush hua ji ki chalo aaj tumhaare hue log ye bhi kya rang hai ai nargis-e-khwab-aluda shahr mein sab tere jadu ke hain mare hue log khatt-e-mazuli-e-arbab-e-sitam khinch gae ye rasan-basta salibon se utare hue log waqt hi wo khat-e-fasil hai ki ai ham-nafaso dur hai mauj-e-bala aur kinare hue log ai harifan-e-gham-e-gardish-e-ayyam aao ek hi ghol ke hum log hain haare hue log un ko ai narm hawa khwab-e-junun se na jaga raat mai-khane ki aae hain guzare hue log